WhatsApp Group (Join Now) Join Now
Telegram Group (Join Now) Join Now

Best 25 jaun elia sad poetry with Images for touch your Heart | John Elia Poetry 2 lines

Elia Jaun. one of Pakistan’s most well-known contemporary shaayar. In recent years, Jaun Elia Shayari has experienced significant popularity growth. Fans of Jaun Elia’s poetry are also growing in number. The poetry by Jaun Elia is depressing and lonely.

One of the most well-known Urdu poets in Pakistan and the entire world is Jaun Elia. As he published multiple books based on ghazal and nazm, John Elia’s poetry “Shayari” is very simple to understand and expresses the feelings of the average man. John Elia is currently quite well-known in social media for his melancholy poetry status. Download or quickly share John Elia’s poetry in two lines in Urdu, Hindi, and English on Facebook, Instagram, and Whatsapp.

Knowing a little bit more about the darkness of Jaun Elia’s life will help you appreciate and comprehend his quotes, his finest Shayari in Hindi, and his two-line Shayari.

Best 25 jaun elia sad poetry with Images for touch your Heart | John Elia Poetry 2 lines

Life inevitably includes both ups and downs. Happiness inevitably trails behind the sadness. Download John Elia’s Sad Poetry in Urdu and Roman with visuals to lessen your melancholy, then show it to your loved one to communicate your emotions. Grief is a part of life for everyone, although some people are skilled at masking their sorrow. Yes, it is art, but there are times when you need to express yourself. Find some Urdu SMS and photographs of John Elia’s sad poetry to post on social media. Mirza Ghalib’s sad poetry in Urdu is also available here with visuals.

In addition to being a poet, John Elia was a well-known biographer, philosopher, and expert on South Asia. His full name was Syed Hussain John Asghar Naqvi, and he was a member of the Sayed family. He spoke English, Urdu, Arabic, Persian, Sanskrit, and many other languages. Numerous websites offer extensive information on John Elia. Here, we’ve included Urdu and Roman text versions of John Elia’s sad poetry together with images for Status updates.

Best 25 jaun elia sad poetry with Images for touch your Heart | John Elia Poetry 2 lines

ab vo ghar ik virana tha bas virana zinda tha sab aankhe dam tod chuki thi aur mai tanha zinda tha.

ab jo rishto mai bandha huun to khula hai mujh par, kab parind ud nahi paate hai paron ke hote.

Hasil-e-kun hai ye jahan-e-kharab, yahi mumkin the itni ujlat mein

saari gali sunsan padi thi bad-e-fana ke pahre main hijr ke dalan aur angan mai bas ik saaya zinda tha

Ye vaar kar gaya hai pahlu se kaun mujh par, tha mai hi daaye baayen aur mai hī darmiyan tha.

Ab hamara makan kiska hai, ham to apne makan ke the hi nahi.

Jo gujari na ja sake humse , humne to vah jindagi bhi gujari hai.

Shayad mujhe Kisi Se mohabbat na hui par yakin sabko dilata raha hun mai.

Hai sari dalile tere khilaf magar sochta Hun hamesha Teri himayath mein.

Yun to takta hai aasman ko tu Koi rahata hai aasman mai Kya.

vo jo kabutar us mukhe mai rahte the kis des ude, ek ka naam navazinda tha aur ik ka bazinda tha.

apne sab yaar kaam kar rahe hain aur ham hai ki naam kar rahe hai.

bahut nazdik aati ja rahi ho bichhadne ka irada kar liya kya.

saari duniya ke ġham hamare hai aur sitam ye ki ham tumhare hain

mujhe ab tum se Dar lagne laga hai, tumhe mujhse mohabbat ho gai kya

jaun elia Top 5 Heart Touching poetry

umr guzregi imtihan mai kya daaġh hi denge mujh ko daan mai kya

meri har baat be-asar hi rahi nuqs hai kuchh mire bayan mai kya

mujh ko to koi Tok ta bhi nahi yahi hota hai ḳhandan mai kya

apni mahrumiyan chhupate hai ham, ġhariboñ ki an-ban mai kya

ḳhud ko jaana juda zamane se aa gaya tha mere guman mai kya

shaam hi se dukan-e-did hai band nahi nuqsan tak dukan mai kya 

ai mire sub.h-o-sham-e-dil ki shafaq tu nahati hai ab bhi baan mai kya

bolte kyun nahi mere haq mai aable paa ga.e zaban mai kya

ḳhamushi kah rahi hai kaan mai kya

aa raha hai mere guman mai kya
dil ki aate hai jis ko dhyan bahut

ḳhud bhi aata hai apne dhyan mai kya.

vo mile to ye puchhna hai mujhe ab bhi hun main teri aman mai kya

yun jo takta hai aasman ko tu koi rahta hai asman man kya

hai nasim-e-bahar gard-alud, ḳhaak udti hai us makan mai kya

ye mujhe chain kyun nahi padta ek hi shaḳhs tha jahan mai kya

2.

kitne aish se rahte honge kitne itrate honge, jaane kaise log vo honge jo us ko bhate honge

shaam hue ḳhush-bash yahan ke mere paas aa jaate hai, 
mere bujhne ka nazzara karne aa jaate hoage

vo jo na aane wala hai na us se mujh ko matlab tha, aane walo se kya matlab aate hai aate honge

us ki yaad ku baad-e-saba mai aur to kya hota hoga

Yunhi mere baal hai bikhre au bikhar jaate honge

yaaro kuch to zikr karo tum us ki qayamat banhon ka

vo jo simatte honge un mai vo to mar jaate honge
mera saans ukhadte hi sab bain kareege ro.enge ya.ani mere ba.ad bhi yaani saans liye jaate honge

halat-e-hal ke sabab halat-e-hal hi gai
shauq mai kuchh nahi gaya shauq ki zindagi gaye

tera firaq jan-e-jan aish tha kya mere liye
yaani tere firaq mai ḳhuub sharab pi gaye

tere visal ke liye apne kamal ke liye, halat-e-dil ki thi ḳharab aur ḳharab ki gayi

us ki umid-e-naz ka ham se ye maan tha ki aapz umr guzar dijiye umr guzar di gai

ek hi hadsa to hai aur vo ye ki aaj tak

baat nahi kahi gai baat nahi suni gayi

baad bhi tere jan-e-jan dil mai raha ajab saman

yaad rahi teri yahan phir teri yaad bhi gayi

us ke badan ko di numud ham ne suḳoon mai aur phir us ke badan ke vaste ek qaba bhi si gaye

mina-ba-mina mai-ba-mai jam-ba-jam jam-ba-jam

naf-piyaye ki tere yaad ajab sahi gayi

kahni hai mujh ko ek baat aap se yaani aap se
aap ke shahr-e-vasl mai lazzat-e-hijr bhi gayi

sehn-e-ḳhayal-e-yar mai ki na basar shab-e-firaq
jab se vo chandna gaya jab se vo chandni gayi

mai shayad tum ko yaksar bhhlne vaala huun shayad jan-e-jan shayad

ki ab tum mujh ko pahle se ziyāda yaad aatī ho

hai dil ġhamgin bahut ġhamgin
ki ab tum yaad dildarana aati ho

shamim-e-dur-manda ho, bahut ranjida ho mujh se, magar phir bhi masham-e-jan mai mere ashti mandana aati ho.

judai mai bala ka iltifat-e-mehramana hai
qayamat ki ḳhabar-giri hai
behad naz-bardari ka aalam hai

tumhare rang mujh mai aur gahre hote jaate hai, mai darta huun mere ehsas ke is ḳhwab ka anjam kya hoga

ye mere andarun-e-zat ke taraj-gar jazbon ke bairi vaqt ki sazish na ho koi

tumhare is tarah har lamha yaad aane se, dil sahma hua sa hai

to phir tum kam hi yaad aao
mata-e-dil mata-e-jan to phir tum kam ha yaad aao

bahut kuchh bah gaya hai sail-e-mah-o-sal mai ab tak

sabhi kuchh to na bah jaae, ki mere paas rah bhi kya gaya hai kuchh to rah jaae.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

close
Scroll to Top